
Competition Preparation
People will
flock
to support you in your success, just as they are
rallying behind
Sanju Samson right now.
But remember, those same voices are the first to demand you be dropped the moment you falter—just as they did during his recent
slump
.
Ignore the noise, follow your heart, and keep
grinding
. The world will always have something to say; don't let it phase you.
Qki duniya to
***
Hai
~
Rohit
CHSL- 2025 Mains Level भी यही रहेगा
https://youtu.be/Win3QudQn4g?si=DZez42lIYn9pX4yC
Congratulations to all who have qualified for CHSLe 2025
All the best for CHSL Tier-2
😍
Complete Triangle- for SSC CGL, CHSL, CPO 2026
https://youtu.be/6-cbJszPjY0?si=OGUGK-13kuUZ1wk7
911 vacancies
🥰
DSSB
📣
https://youtu.be/hnQumhWZlsA?si=eFmRr6G9a7UgEoBW
Complete Algebra
-
https://youtube.com/playlist?list=PLN-ePsvZhNZWLhNW-2KjOPiPeXmSvqcfT&si=zVwu16MgAKi9j80f
पार्वती पतये हर हर महादेव
शुभ महाशिवरात्रि!
🙏🏼
Complete Trigonometry-
इससे ज़्यादा पढ़ा तो समझो और Section का time ख़राब कर रहे
https://youtu.be/7CAHKudE2fk?si=BPl7s56g9peyJHmC
Ghar se nikla wo ladka, amir ho ya gareeb,
Ghar se door reh kar bahut kuch
seekh leta hai wo
.
Seekh leta hai
wo raatein bhookhi kaatna,
Kabhi maid ke na aane par, kabhi cylinder khatam hone par,
To kabhi jeb khali hone ya bimar padne par.
Seekh leta hai
wo apne dukhon ko chhupana,
Nahi batata ghar par ki wo tension mein hai ya pareshan hai,
Apni raaton ke aansuon ko akele peena
seekh leta hai wo
.
Ab wo sirf ek student nahi rehta,
Paise ka hisab-kitab
seekh leta hai wo
;
Ki kaise doston ke saath shuruati dinon mein paise uda kar,
Baaki ke 25 din mahine ke, 20% budget mein nikaalne hain.
Bina kharch kiye coaching tak paidal jaane mein mazaa dhoondna
seekh leta hai wo
.
Seekh leta hai
wo har kirdaar ko nibhana—
Kitchen mein ek grahani ban kar khana banana,
Doston ke liye ek maa ban kar unka khayal rakhna,
Zaroorat pade to doctor ban kar dawayen dena,
Aur dukh mein doston ka motivational speaker banna
seekh leta hai wo
.
Use kapde saaf karna aa jata hai,
Namak tez ho jaye to kam karna aa jata hai,
Ghee ke bagair bhi rookhi roti ko chaav se khana
seekh leta hai wo
.
Sabse mushkil hunar bhi
seekh leta hai wo
—
Aansu rok kar maa-baap se muskura kar baat karna,
Haalat kharab hone par bhi ghar walon ko 'sab theek hai' ki daleelein dena,
Dukhon mein khush rehna aur abhaav mein bhi muskurana
seekh leta hai wo
.
Aur ant mein...
Naukri mile to 'Kamyab', warna 'Nakam' hone ka thappa,
Lekin is thappe ke saath bhi himmat se zindagi jeena
seekh leta hai wo
.
—
Rohit Tripathi